Thyroxine 50 Mcg Tablets Uses,SideEffects And Precautions

Aj main aapko Thyroxine 50 Mcg tablets ke baare mein bataun ga jo ke hypothyroidism ke liye bahut hi zyada mufeed tablets hain aur goiter ke liye bhi aage chal kar hum iski baat karenge. Pehle hum iski composition aur dosage ki baat karte hain, toh yeh aapko ek bottle ki form mein nazar aati hai jiska andar sau goliyan hoti hain.

Aur iski qeemat 165 rupees hai. Iske andar jo formula use hua hai woh hai Thyroxine Sodium jo ke ismein 50 micrograms paya gaya hai. Iski dosage ka tareeqa yeh hai ke aapko rozana nashte se pehle ek goli Thyroxine ki istemaal karni hoti hai, aur tablet lene ka sahi tareeqa yeh hai ke iska ek khaas time hi chunna chahiye, 24 hours mein usi ek ghante mein aapko yeh khana chahiye.

Thyroxine 50 Mcg tablets Uses

Thyroxine 50 Mcg Tablets
Thyroxine 50 Mcg Tablets

Ab hum Thyroxine 50 Mcg tablets uses ki baat karte hain. Uses mein yeh hai ke hypothyroidism naam se hi pata chalta hai ke jab thyroid gland jo hai woh Thyroxine ko kam quantity mein bahar karta hai toh usse hypothyroidism kehte hain.

Hypothyroidism jo hai woh is tarah hota hai ke ismein Thyroid gland jo hai woh blood stream mein adequate quantity mein Thyroid hormone jo hai woh nahi bhejta jiski wajah se metabolism ko effect hota hai, thakan mehsoos hoti hai, weight bhi badh jaata hai, aur body mein chemical reactions ka balance kharab ho jaata hai. Ismein symptoms early stages mein hi dikhai dete hain jaise ke joint pain, fertility issues, aur heart diseases bhi ho sakti hain.

Goiter: jo ke hum kehte hain iodine ki kami ki wajah se hota hai. Yeh Thyroid gland ke size mein abnormal growth hoti hai jiski wajah se goiter hota hai. Mein dard nahi hota magar iski wajah se khansi hoti hai, kuch bhi khane mein bahut takleef hoti hai, aur saans lena bhi mushkil ho jata hai.

Thyroid cancer: jismein Thyroid gland ke issues mein malignant cells develop ho jaate hain jiski wajah se thyroid cancer hota hai. Ismein gale mein dard hota hai, gurde mein ganth banti hai, awaz mein tabdeeli aati hai, aur bahut se organs ke functions slow ho jaate hain.

Myxedema coma: jo ek emergency condition hai. Ismein body temperature bohot kam ho jaata hai, aur doosre organs ke functions bhi slow ho jaate hain. Ismein heart rate bhi bohot kam ho jaata hai, aur emergency condition ke chalte bohot se cases mein maut ho jaati hai. Iske liye Magna Coma bhi bohot mufeed hai.Toh in sab conditions ke liye Thyroxine tablets ka istemaal karna bohot zyada mufeed hai.

Thyroxine 50 Mcg Tablets Side Effects

Ab hum iski Thyroxine 50 Mcg tablets side effects ki baat karte hain ke iske istemaal karne se ya iski over-dose lene se kya kya side effects ho sakte hain. Iske istemaal se aapke jo baal hain woh bhi gir sakte hain, yaani hair loss kam ho sakta hai. Anjaina ka problem bhi ho sakta hai, anjaana jab aapki kamar ya baazu gerdan ya jabde mein ya seenay mein aapko dard mehsoos hota hai toh use anjaana kehte hain.

Aur Hot muscles ko blood supply milna band ho jaati hai ya blood flow jo hai woh kam ho jaata hai toh aapko seenay mein kamar mein baazu ya jabda mein aapko dard mehsoos hota hai toh use hum kehte hain anjaina. Thaakawat bhi ho sakti hai aur aapka jo weight hai woh bhi kam ho sakta hai. Aapki skin par rashes bhi ho sakte hain aur aapki jo skin hai woh bahut zyada khujli ho sakti hai. Aapki jo periods hain woh regular ho sakte hain aur aapki jo periods hain woh bhi heavy ho sakta hai.

Thyroxine 50 Mcg Tablets Precautions

Ab hum Thyroxine 50 Mcg tablets precautions ki baat karte hain toh Thyroxine ka istemaal karne wale logon ko nahi karna chahiye, jin ko hyperthyroidism hai unko nahi karna chahiye, jin ko thyroid gland se kisi qisam ki allergy hai unko bhi nahi karna chahiye, jin ko diabetes hai woh bhi nahi karna chahiye, aur jo breastfeeding mothers hain unko bhi nahi karna chahiye. Umeed hai ke aapko aaj ki hamara Article pasand aaya hoga. Agar aapko hamara yeh Article pasand aaya hai toh isko Apne Payare dosto k sath Share Karo ta k Un bhi iss tablets k bare mein pta chal sake.

Disclaimers:-

The information provided on this blog regarding medicine prices and side effects is solely based on data collected from public domains. I am not a doctor or medical professional. While I strive to provide accurate and up-to-date information, I cannot guarantee the absolute accuracy or completeness of the data. It is always recommended to consult with a qualified healthcare professional or doctor for personalized medical advice and information. The content on this blog should not be considered a substitute for professional medical guidance. The readers are advised to use the information provided at their own discretion and risk. I do not assume any responsibility for any consequences arising from the use of the information on this blog.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *